kāfir huuñ gar kisī ko dīvāna jāntā huuñ
ahvāl-e-qais kā bhī afsāna jāntā huuñ
ai shola-rū zabānī hai terī garm-joshī
maiñ ḳhuub rabt-e-sham-o-parvana jāntā huuñ
jām-e-sharāb kā maiñ kaahe ko multajī huuñ
āñkhoñ ko terī saaqī paimāna jāntā huuñ
kunj-e-qafas ko sauñpā roz-e-azal qazā ne
ne daam jāntā huuñ ne daana jāntā huuñ
rahtā huuñ mast har dam yād-e-nigah meñ us kī
kāfir huuñ gar maiñ rāh-e-mai-ḳhāna jāntā huuñ
tere kunisht se maiñ vāqif nahīñ barahman
apne harīm-e-dil ko but-ḳhāna jāntā huuñ
saudā-e-ishq jab se mujh ko huā hai 'joshish'
ābādī-e-jahāñ ko vīrāna jāntā huuñ