har-chand ki dekhe hai vo pyaar kī āñkhoñ se
par nikle hai be-rañgī us paar kī āñkhoñ se
shiddat se lagā hañsne ahvāl pe gar mere
aañsū bhī kabhī Tapke makkār kī āñkhoñ se
be-tāqatī-e-dil kā kyā sharh-o-bayāñ kījiye
bīmārī numāyāñ hai bīmār kī āñkhoñ se
hai teġh-e-nigah khīñche shamshīr-ba-kaf mizhgāñ
ab jiite nahīñ bachte ḳhūñ-ḳhār kī āñkhoñ se
lākhoñ hī kī āñkhoñ se āñkhoñ tirī behtar haiñ
kyā achchhī haiñ ai pyāse vo chaar kī āñkhoñ se
mat ahl-e-diloñ se kar ham-chashmī ai ā.īne
ġhāfil na milā āñkheñ bedār kī āñkhoñ se
har tarah se dekhā vo dekh hī letā hai
tayyārī kare kyā koī ayyār kī āñkhoñ se
itnī bhī rasā.ī ho 'joshish' to ġhanīmat hai
ḳhāk-e-kaf-e-pā maliye dil-dār kī āñkhoñ se