Navneet Sharma

raste se gae haTae hum

Navneet Sharma

rāste se ga.e haTā.e ham
phir bhī manzil ke paas aa.e ham
the haqīqat nazar na aa.e ham
jab hue ḳhvāb jagmagā.e ham
go chale the, pahuñch na paa.e ham
ham vahīñ haiñ jahāñ se aa.e ham
apnā bādal talāshne ke liye
umar bhar dhuup meñ nahā.e ham
manzileñ un kī har safar un kā
rāste the bane-banā.e ham
shor din kā pilā gayā chuppī
niiñd aa.ī to baḌbaḌā.e ham
terī galiyoñ ko ghar kiyā jab se
zindagī ke qarīb aa.e ham
saath le kar makān kyā chalte
ghar ko phir ghar hī chhoḌ aa.e ham
tujh pe ġhussa the isli.e jānāñ
be-sabab ḳhud pe tamtamā.e ham
jab se ham ban ga.e tirī āñkheñ
dekh le roz DabDbā.e ham
dard kī aañch ġham kī bhaTTī thī
phir sarāpā ga.e pakā.e ham
Top Urdushayar.com