uTh ga.e yaañ se apne hamdam to
haath malte hī rah ga.e ham to
yaar aayā hai dekh luuñ is ko
ai ajal dam le tū koī dam to
mūnis-e-tāza haiñ ye dard-o-alam
muddatoñ kā rafīq hai ġham to
apnā āshiq na jaan tū mujh ko
is ko jaane hai ek aalam to
be-halāvat nahīñ ḳhat-e-lab-e-yār
fil-haqīqat shakar hai ye sam to
dil bhī bah jā.egā tire ham-rāh
kārvān-e-sarishk Tuk tham to
kyuuñ rakhūñ daaġh dil par ai 'joshish'
daaġh ko bah kare hai marham to