haiñ dil jigar hamāre ye mahr-o-māh donoñ
pahuñche haiñ āsmāñ pe ham-rāh-e-āh donoñ
hai bazm-e-be-vafā.ī raunaq-e-pazīr in se
raushan raheñ ye terī chashm-e-siyāh donoñ
ai turk-e-chashm terī ḳhūñ-rezī-e-mizha se
pīTeñ haiñ sar gunahgār aur be-gunāh donoñ
bīmār dil ke hamdam ik dard-o-ġham the so bhī
bahr-ayādat aate haiñ gaah gaah donoñ
koī zulf ko kahe zulf kākul ko samjhe kākul
apnī nazar meñ to haiñ mār-e-siyāh donoñ
tanhā kaTegī kyuuñ kar ai sail-e-ashk kah tū
hamdam dil o jigar the ho ga.e tabāh donoñ
kyā shaiḳh kyā barahman haiñ pher meñ duī ke
gumrāh ho ga.e haiñ bhūle haiñ raah donoñ