haal ab tañg hai zamāne kā
rañg be-rañg hai zamāne kā
nahīñ kotāh us kā dast-e-talab
ye gadā nañg hai zamāne kā
ek dam chain se na koī rahe
yahī āhañg hai zamāne kā
sarkashoñ kā rahā na nām-o-nishāñ
zor-e-sar chañg hai zamāne kā
ai jafā-kār dahr meñ tujh bin
kaun ham-sañg hai zamāne kā
jhuuT maiñ ne kahā tire hāthoñ
qāfiya tañg hai zamāne kā
chal nikal jald yaañ se ai 'joshish'
Dhañg be-Dhañg hai zamāne kā