Joshish Azimabadi

us sharam-gin ke munh pe na har dam nigah rakh

Joshish Azimabadi

Patna, Bihar, India

1737-1801
us sharam-gīñ ke muñh pe na har dam nigāh rakh
sar-rishta-e-nigāh ko apne nigāh rakh
kis lutf se hai aa.ina dekh us ke rū-ba-rū
gardūñ na dil meñ ārzū-e-mahr-o-māh rakh
dīvāne chāhtā hai agar vasl-e-yār ho
terā baḌā raqīb hai dil is se raah rakh
dildār ho tū yā ki dil-āzār terā shauq
dil de chukā maiñ ḳhvāh na rakh is ko ḳhvāh rakh
dāvā-e-qatl kar tujhe manzūr hai jo dil
dāmān o teġh-e-yār hī ko tū gavāh rakh
maiñ chāhtā huuñ tujh ko tū chāhe hai ġhair ko
ye kyā ġhazab hai chāhne vaale kī chaah rakh
'joshish' judā hai yaar se tū jāntā huuñ maiñ
itnā bhī iztirāb ḳhudā par nigāh rakh
Top Urdushayar.com