kashtī hai tabāh dil-shudaoñ kī
lenā ḳhabar apne be-ḳhudoñ kī
ai sarv-sahī ke ek gulshan
chaliyo mat chaal ḳhush-qadoñ kī
kyūñ-kar vo kare sulūk ham se
ḳhātir hai aziiz hāsidoñ kī
ta.amīr kunisht-e-dil huā jab
zāhid na binā thī masjidoñ kī
kahnā mat maan vā.izoñ kā
behūda hai baat behudoñ kī
dāḌhī na rahegī shaiḳh-sāhib
sohbat meñ na baiTho amradoñ kī