Navneet Sharma

yun hi galiyon mein muqaddar dar-ba-dar mera bhi hai

Navneet Sharma

yuuñ hī galiyoñ meñ muqaddar dar-ba-dar merā bhī hai
kyuuñ nahīñ suntā mirī tū kuchh agar merā bhī hai
qātiloñ ko ab sazā ho yā na ho lekin kisī
hāshiye par ik bayān-e-muḳhtasar merā bhī hai
maiñ bhī jūjhā huuñ havā se us kabūtar kī tarah
dekh vo āñdhī meñ uḌtā ek par merā bhī hai
paañv tere rāste tere safar terā magar
kyuuñ pasīne meñ badan phir tar-ba-tar merā bhī hai
dard kī vaadī meñ aahoñ kā mohalla hai jahāñ
bas vahīñ pahlī saḌak par ek ghar merā bhī hai
yuuñ na ho maiñ baiTh jā.ūñ terī paichal ke baġhair
dhuup meñ sahrā kī uktāyā safar merā bhī hai
kaisā pāgal-pan ki us ke shahr meñ denī hai jaan
ab kahāñ huuñ maiñ akelā ham-safar merā bhī hai
ik uchaTtī sī nazar ḳhālī mohabbat kī nazar
āsmāñ ik chāhiye mujh ko ki sar merā bhī hai
saath hoñge ham to sach meñ phuul khilte jā.eñge
aap kā hī bas nahīñ tanhā safar merā bhī hai
ḳhud se bhī miltā nahīñ maiñ tujh gale milne ke ba.ad
saath rakhne meñ tirī ḳhushbū hunar merā bhī hai
jab bhī kuchh maiñ ne kahā kyuuñ aap tak pahuñchā nahīñ
aap kā qāsid yaqīnan nāma-bar merā bhī hai
Top Urdushayar.com