paḌtī hai nazar jab ki par-o-bāl par apne
rotā huuñ qafas meñ bahut ahvāl par apne
ushshāq ke ahvāl pe kyā us ko nazar hai
vo aap divāna hai ḳhat-o-ḳhāl par apne
tahsīn-e-amal kab use manzūr hai ai shaiḳh
nazreñ jo kare aap hī a.amāl par apne
kis tarah se maiñ piir karūñ ishq kā da.avā
phabtī nahīñ ye baat sin-o-sāl par apne