Joshish Azimabadi

kyun kahun qamat ko tere ai but-e-raana alif

Joshish Azimabadi

Patna, Bihar, India

1737-1801
kyuuñ kahūñ qāmat ko tere ai but-e-rā.anā alif
aur kuchh ḳhūbī nahīñ rakhtā hai ik sīdhā alif
jaisā hai us barhaman zaade ke qashqe kā alif
likh nahīñ saktā hai koī ḳhush-navīs aisā alif
jab se dī ta.alīm-e-girya ūstād-e-ishq ne
taḳhta-e-sīna pe tifl-e-ashk ne khīñchā alif
vasf-benī meñ ye kyā misra.a zabāñ par aa gayā
us kī biinī hai buland aur us se hai chhoTā alif
gard hai naqsh-o-nigār-e-chīn un ke rū-ba-rū
haiñ ridā-e-faqr par is tarah ke zebā alif
qatl ko āshiq ke añgusht-e-ishārat kar buland
terī añgusht-e-ishārat hai shahādat kā alif
sar-kashī kartā hai yuuñ har aan merā nafs-e-shūm
jis tarah se dam-ba-dam ho jaa.e hai ghoḌā alif
itne par bhī zāt-e-vāhid se haiñ ġhāfil nāqisāñ
khiñch rahā hai mū-e-tan se tan pe sar-tā-pā alif
Top Urdushayar.com