go ki mohtāj haiñ gadā haiñ ham
be-niyāzī ke bādshā haiñ ham
chashm-e-tahqīr se hameñ mat dekh
ḳhaak to haiñ pe tūtiyā haiñ ham
aah is umr-e-be-baqā kī tarah
rahrav-e-kishvar-e-fanā haiñ ham
aisā be-barg o be-navāhī kaun
jaise be-barg o be-navā haiñ ham
go hameñ tū kabhī na yaad kare
par tirī yaad meñ sadā haiñ ham
mubtalā us balā meñ koī na ho
jis balā meñ ki mubtalā haiñ ham
maar kar bhī hamīñ pe pachhtāyā
be-vafā tū ki be-vafā haiñ ham
jab.ha-sā.ī se dushmanī hai jise
usī ke dar pe jab.ha-sā haiñ ham
kaun rahbar ho ishq kī rah meñ
aap hī apne rahnumā haiñ ham
haiñ to sūrat-parast ā.īna-dār
nek ma.anī se āshnā haiñ ham
aur dīvāna kaun hai 'joshish'
yā divānā thā qais yā haiñ ham