aaj gulshan meñ kis kā partav hai
har kalī gul kī sham.a kī lau hai
ḳhizr har-chand pahuñche āb-e-hayāt
zindagī jaise paanī kī rau hai
piise hai us ko āsiyā-e-falak
jis ke paas ek musht bhī jau hai
ġhair se lenā imtihān-e-vafā
ye jafā mujh par az-sar-e-nau hai
hai kidhar vo ġhazāl jis ke liye
raat din mujh ko ye tag-o-dau hai
hai ye 'joshish' vafā-sarishtoñ meñ
tū jo kahtā hai bevafā tū hai