Joshish Azimabadi

teri tahaarat ko shaiKH kah tu kahan se laen ek aab-e-ju hum

Joshish Azimabadi

Patna, Bihar, India

1737-1801
tirī tahārat ko shaiḳh kah tū kahāñ se laa.eñ ik āb-e-jū ham
tavāf-e-dil kā hai qasd ham ko kareñ haiñ aañsū se nit vazū ham
ba-tañg aa.e haiñ zindagī se raheñge ḳhauf-e-fanā meñ kab tak
jo honī ho so shitāb hove khaḌe haiñ qātil ke rū-ba-rū ham
rakhe tū jab tak jahāñ meñ yā-rab tire karam se umiid ye hai
rahe na mutlaq talāsh-e-daulat kareñ na duniyā kī justujū ham
ḳhizāñ ne sab kī bahār kho dī rahā na sumbul bachī na raihāñ
guloñ ko dekhā hue pareshāñ chaman se nikle ba-rañg-e-bū ham
ġham-o-alam ne to kar rakhā hai hamāre chehre ko zard 'joshish'
lahū ke aañsū agar na ro.eñ na hoñ mohabbat meñ surḳh-rū ham
Top Urdushayar.com