in ne pahle-hī-pahal pī hai sharāb aaj ke din
bolo dil khol kar ai chañg-o-rubāb aaj ke din
ai ajal jā-e-tarahhum hai ki ye āshiq-e-zār
kūcha-e-yār meñ hai pā-e-turāb aaj ke din
yaar bad-mast huā sab pe chhiḌaktā hai sharāb
tah kar ai vā.iz-e-shahr apnī kitāb aaj ke din
roz-e-nau-roz hai milte haiñ sabhī aapas meñ
koī kartā hai kisī par bhī itaab aaj ke din
īd-e-qurbāñ hai butāñ kyuuñ nahīñ sargarm-e-jafā
qatl-e-ushshāq samajhte haiñ savāb aaj ke din
duur daur-e-lab-e-jānāñ hai ajab kyā 'joshish'
mai-kade shahr ke hove jo ḳharāb aaj ke din