naubat apnī to jaan tak pahuñchī
haif us ke na kaan tak pahuñchī
dil ke TukḌe haiñ ye sitāre na hoñ
aah lai āsmān tak pahuñchī
hai vo āzurda baat shikve kī
kyā kisī mehrbān tak pahuñchī
muft farsūda hui ye peshānī
na tire āstān tak pahuñchī
dushmanī mujh se terī teġh ne kī
dostī imtihān tak pahuñchī
ātish-e-ishq ne jo sar khīñchā
husn ke dūdmān tak pahuñchī
bār-e-ġham jab kisī se uTh na sakā
naubat is nā-tavān tak pahuñchī
tere maqtūl kā hai kaam tamām
kārvāñ ustuḳhvān tak pahuñchī
ātish-e-gul se jaltī misl-e-sharar
andalīb āshiyān tak pahuñchī
koī sar-gashta yaad aa hī gayā
teġh us kī jo saan tak pahuñchī
dekhte us ko mahv the 'joshish'
kab shikāyat zabān tak pahuñchī