siine meñ mire bojh bhī aur dahkā chaman bhī
kyā chiiz tirī yaad hai ḳhushbū bhī ghuTan bhī
pahle to tamannā thī tirī sirf magar ab
āñkhoñ meñ nazar aane lagī merī thakan bhī
hai ishq safar dil se faqat dil kā magar kyuuñ
is raah meñ aate haiñ bayābāñ bhī chaman bhī
jo dil pe guzartī haiñ raqam kar use dil par
zaḳhmoñ kī numā.ish na bane bazm-e-suḳhan bhī
taptī huī dhartī ko mire chhāloñ ne sīñchā
kuchh kaam to aayā hai chalo bāvlā-pan bhī
hairat hai, mujhe saañs vahīñ aatī hai jānāñ
ghuT jaanā sikhā.e jahāñ yādoñ kī pavan bhī
kumhlāyā zarā rañg to vo soch meñ Duube
aahoñ se milā kartā hai kuchh sāñvalā-pan bhī
pairoñ ke tale se kahīñ miTTī na khisak jaa.e
zid hai mirī muTThī meñ ho dhartī bhī gagan bhī
mahbūb ke chehre ke muqābil bhī rahā par
is daur meñ aayā to huā chāñd mission bhī
'navnīt' tū hai fazl kī ūñchā.ī kā hissa
rakh dil meñ agar nuur to rakh zehn meñ fan bhī