lab par jo mire āh-e-ġham-ālūd nahīñ hai
iz.hār-e-mohabbat mujhe maqsūd nahīñ hai
ham jaise faqīroñ ko to yuuñ bhī na kahe vo
phir aa.iyo kuchh is ghaḌī maujūd nahīñ hai
kahtā huuñ maiñ ye gabr o musalmān ke muñh par
vo abd nahīñ jis kā tū ma.abūd nahīñ hai
narmā.e hai kis tarah se is āhan-e-dil ko
ye aah agar naġhma-e-dā.ūd yahīñ hai
phirte haiñ ka.ī qais se hairān o pareshān
is ishq kī sarkār meñ bahbūd nahīñ hai
tāsīr madad kījiyo ab siine meñ apne
is naale se ik aah bhī afzūd nahīñ hai
ḳhūbī-e-ayāz aaphī nazar aa ga.ī hotī
afsos tire ahd meñ mahmūd nahīñ hai
is ātish-e-furqat ke sivā dahr meñ 'joshish'
dekhā to kahīñ ātish-e-be-dūd nahīñ hai