Saqib Lakhnavi

sahar ko bhi meri mahfil mein barhami na hui

Saqib Lakhnavi

Agra, Uttar pradesh, India

1869-1946
sahar ko bhī mirī mahfil meñ barhamī na huī
tamām-rāt huī dard meñ kamī na huī
ġhurūr-e-husn tamannā-e-dil kā dushman thā
vo kaun din thā ki jis din hamāhamī na huī
umañD rahī hai mire dil ke saath barsoñ se
ye koī nahr huī aañkh kī namī na huī
maiñ apne qatl kā shākī nahīñ huā to huā
ye rañj hai ki tire zulm meñ kamī na huī
lahad pe aane kī andāz saikḌoñ the magar
ḳhush aa.ī vaz.a unheñ vo jo mātamī na huī
ulaT ulaT ga.e dil mere intiqāl ke ba.ad
ye kyā ki aap kī zulfoñ meñ barhamī na huī
hazāroñ uTh ga.e āġhosh-e-dahr se lekin
ajiib ghar hai zamāna jahāñ ġhamī na huī
ye jism rūh-e-bahī-ḳhvāh kā rahā dushman
tamām-umr kabhī sulh-e-bāhamī na huī
har ek ke liye khīñchā ravā nahīñ 'sāqib'
bhavoñ kā husn hī kyā hai agar ḳhamī na huī
Top Urdushayar.com