Navneet Sharma

bina roe guzarna us gali se

Navneet Sharma

binā ro.e guzarnā us galī se
lagā aisā ga.e ham zindagī se
jiyā huuñ umr bhar maiñ bhī akelā
use bhī kyā milā nārāzgī se
huuñ jiskā muntazir agle janam tak
milī to kyā kahūñgā us parī se
lahū meñ roz apne hī nahānā
maiñ aajiz aa gayā huuñ shā.erī se
jhalak ik maut kī dekhe to mānūñ
jise Dar lag rahā hai zindagī se
koī phir se dilā.e ek jīvan
thakan hotī nahīñ āvārgī se
ka.ī jazboñ kā ghar thā jaise maiñ bhī
mirī parteñ khulīñ dīvāngī se
ka.ī chehre dikhe par ba.ad un ke
mohabbat ho ga.ī be-chehragī se
kisī sūrat alag hone na paa.ī
tirī tasvīr merī shā.erī se
khaḌā jab se huuñ maiñ apne muqābil
ulajhtā hī nahīñ huuñ maiñ kisī se
tirī yādeñ haiñ yā sūraj hai koī
ye āñkheñ bujh rahī haiñ raushnī se
umīdeñ thī hameñ bhī chāñd se par
mohabbat hai use ab tīrgī se
zarūrat kyā hai man meñ jhāñkne kī
karo, gar baat kar paao nadī se
mire aañsū jo tum jharne se bah jaao
samundar tak pahuñch jā.ūñ isī se
Top Urdushayar.com