Iftikhar Jameel Shaheen

ye tera bankpan ye ranai

Iftikhar Jameel Shaheen

ye tirā bāñkpan ye ra.anā.ī
rashk-e-mahtāb terī zebā.ī
husn terā ajab karishma hai
ek aalam banā tamāshā.ī
yaad aayā mujhe badan terā
duur qaus-e-quzah jo lahrā.ī
jab se sham-e-vafā jalā.ī hai
anjuman ban ga.ī hai tanhā.ī
yuuñ guzarte haiñ dekh kar mujh ko
jaise mujh se nahīñ shanāsā.ī
diip yādoñ ke jal hī jaate haiñ
chheḌ detī hai jab bhī purvā.ī
nashtar-e-ġham na jis ko raas aayā
ziist us ko kabhī na raas aa.ī
ek rū-e-hasīñ nazar aayā
ab charāġhoñ meñ raushnī aa.ī
ishq kī ḳhud-supurdagī dekhī
ḳhud tamāshā banā tamāshā.ī
Top Urdushayar.com