Abdul Majeed Bhatti

sham-e-gham aur sitaron ke siwa

Abdul Majeed Bhatti

shām-e-ġham aur sitāroñ ke sivā
jī sake ham na sahāroñ ke sivā
talḳhī-e-āḳhir-e-shab kaun sahe
hijr meñ dard ke māroñ ke sivā
be-ruḳhī bhī to bajā hai lekin
phuul kyā chiiz haiñ ḳhāroñ ke sivā
kis ko fursat hai ki ho sair-e-chaman
māh-rū shola-e.azāroñ ke sivā
rañg duniyā meñ ka.ī aur bhī haiñ
bahkī bahkī sī bahāroñ ke sivā
jaane jannat meñ bhī kyā rakkhā hai
aise hī shoḳh nazāroñ ke sivā
zindagī sab ko sadā detī hai
haañ magar arz-guzāroñ ke sivā
Top Urdushayar.com