hāsil-e-umr-e-ravāñ vo ek pal
jis meñ thā pahlī nazar kā ruup chhal
dīda-o-dil ke liye haiñ rahnumā
ye jhijak nīchī nazar abrū pe bal
pyaas lagtī hai to kyoñ bujhtī nahīñ
aap aa.e to huī uljhan ye hal
kyā burā thā band hī rahtī nazar
zindagī be-kaif sī hai āj-kal
nāma-e-a.amāl abhī be-rañg hai
chaar din kī chāñdnī jaa.e na Dhal
kaam terā hai ghanī chhāñv meñ kyā
tū musāfir hai tujhe chalnā hai chal
phir kahīñ se ik zarā āvāz de
sar pe aa.ī maut bhī jaatī hai Tal