Faragh Rohvi

kahin suraj kahin zarra chamakta hai

Faragh Rohvi

Navada Kalan, Bihar, India

1956
kahīñ sūraj kahīñ zarra chamaktā hai
ishāre se tire kyā kyā chamaktā hai
falak se jab na.ī kirneñ utartī haiñ
guhar sā shabnamī qatra chamaktā hai
use duniyā kabhī dariyā nahīñ kahtī
chamakne ko to har sahrā chamaktā hai
sitāra to sitāra hai mire bhaa.ī
kabhī terā kabhī merā chamaktā hai
mirī mailī hathelī par to bachpan se
ġharībī kā kharā sonā chamaktā hai
mashaqqat kī badaulat hī jabīnoñ par
pasīne kā har ik qatra chamaktā hai
qarīne se tarāshā hī na jaa.e to
kisī pahlū kahāñ hiirā chamaktā hai
ye kyā turfa-tamāsha hai siyāsat kā
kahīñ ḳhanjar kahīñ neza chamaktā hai
tasavvur meñ 'farāġh' āThoñ pahar ab to
koī chehra ġhazal jaisā chamaktā hai
Top Urdushayar.com