Faragh Rohvi

KHub nibhegi hum donon mein mere jaisa tu bhi hai

Faragh Rohvi

Navada Kalan, Bihar, India

1956
ḳhuub nibhegī ham donoñ meñ mere jaisā tū bhī hai
thoḌā jhūTā maiñ bhī Thahrā thoḌā jhūTā tū bhī hai
jañg anā kī haar hī jaanā behtar hai ab laḌne se
maiñ bhī huuñ TuuTā TuuTā sā bikhrā bikhrā tū bhī hai
jaane kis ne Dar boyā hai ham donoñ kī rāhoñ meñ
maiñ bhī huuñ kuchh ḳhauf-zada sā sahmā sahmā tū bhī hai
ik muddat se fāsla qaa.em sirf hamāre biich hī kyuuñ
sab se miltā rahtā huuñ maiñ sab se miltā tū bhī hai
apne apne dil ke andar simTe hue haiñ ham donoñ
gum-sum gum-sum maiñ bhī bahut huuñ khoyā khoyā tū bhī hai
ham donoñ tajdīd-e-rifāqat kar lete to achchhā thā
dekh akelā maiñ hī nahīñ huuñ tanhā tanhā tū bhī hai
had se 'farāġh' aage jā nikle donoñ anā kī rāhoñ par
sarf-e-pashemāñ maiñ hī nahīñ huuñ kuchh sharminda tū bhī hai
Top Urdushayar.com