hamāre saath umīd-e-bahār tum bhī karo
is intizār ke dariyā ko paar tum bhī karo
havā kā ruḳh to kisī pal badal bhī saktā hai
us ek pal kā zarā intizār tum bhī karo
maiñ ek jugnū añdherā miTāne niklā huuñ
ridā-e-tīra-shabī taar taar tum bhī karo
tumhārā chehra tumheñ hū-ba-hū dikhā.ūñgā
maiñ aa.ina huuñ mirā e'tibār tum bhī karo
zarā sī baat pe kyā kyā na kho diyā maiñ ne
jo tum ne khoyā hai us kā shumār tum bhī karo
mirī anā to takalluf meñ paash paash huī
duā-e-ḳhair mire haq meñ yaar tum bhī karo
agar maiñ haath milā.ūñ to ye zarūrī hai
ki saaf siine kā apne ġhubār tum bhī karo
koī zarūrī nahīñ hai ki sab kī tarah 'farāġh'
zamāne vaalī ravish iḳhtiyār tum bhī karo