Navneet Sharma

jo ye kahte the ki mar jaana hai

Navneet Sharma

jo ye kahte the ki mar jaanā hai
un se jiine kā hunar jaanā hai
kis ne sochā thā ki ḳhud se mil kar
apnī āvāz se Dar jaanā hai
hadisā maut nahīñ insāñ kī
hādisa ḳhvāb kā mar jaanā hai
hazrat-e-dil ko manānā hogā
aaj phir us kī Dagar jaanā hai
kuchh havā, aag, zamīñ, aab, falak
phir mujhe lauT ke ghar jaanā hai
ek bālisht nahīñ jis kī chhāñv
tum ne us ko bhī shajar jaanā hai
saath rakh mujh ko baḌhā le qīmat
go mujhe tū ne sifar jaanā hai
aaj phir tum ko nahīñ DhūñDh sakā
dil ko sahrā meñ pasar jaanā hai
aap bhī suniye kahā hai dil ne
''aaj har had se guzar jaanā hai''
silsila toḌ rahe ho kyūñkar
silsila ḳhud hī bikhar jaanā hai
yaad kī ghaas to giilī hai bahut
ab dhuāñ dil pe pasar jaanā hai
dil ko sairāb kiyā ashkoñ se
ham ne rone kā hunar jaanā hai
apnā jo bhī thā vo sab chhūT gayā
ye magar vaqt-e-safar jaanā hai
Top Urdushayar.com