Faragh Rohvi

kabhi yaqin se hui aur kabhi guman se hui

Faragh Rohvi

Navada Kalan, Bihar, India

1956
kabhī yaqīñ se huī aur kabhī gumāñ se huī
tire huzūr rasā.ī kahāñ kahāñ se huī
falak na māh-e-munavvar na kahkashāñ se huī
khulī jab aañkh mulāqāt ḳhāk-dāñ se huī
na falsafī na mufakkir na nukta-dāñ se huī
adā jo baat hamesha tirī zabāñ se huī
khulī na mujh pe bhī dīvāngī mirī barsoñ
mire junūn kī shohrat tire bayāñ se huī
jo tere naam se mansūb merā naam huā
to shahr bhar ko adāvat bhī merī jaañ se huī
sunā ke sab ko akelā hī ro rahā thā maiñ
kisī kī aañkh na tar merī dāstāñ se huī
jinheñ thā Dūbnā un ko bhī de diyā rasta
kabhī kabhī ye ḳhatā bahr-e-be-karāñ se huī
'farāġh' haath se kyā dāman-e-ḳhirad chhūTā
ki sar pe sañg kī bārish jahāñ-tahāñ se huī
Top Urdushayar.com