kamī zarā sī agar fāsle meñ aa jaa.e
vo shaḳhs phir se mire rābte meñ aa jaa.e
use kured rahā huuñ tarah tarah se ki vo
jihat jihat se mire jā.eze meñ aa jaa.e
kamāl jab hai ki sañvre vo apne darpan meñ
aur us kā aks mire ā.īne meñ aa jaa.e
kiyā hai tark-e-ta.alluq to muḌ ke dekhnā kyā
kahīñ na farq tire faisle meñ aa jaa.e
dimāġh ahl-e-mohabbat kā saath detā nahīñ
use kaho ki vo dil ke kahe meñ aa jaa.e
vo merī raah meñ āñkheñ bichhā.e baiThā ho
ye vāqi.a bhī kabhī dekhne meñ aa jaa.e
vo māhtāb-e-zamāna hai log kahte haiñ
to us kā nuur mire shab-kade meñ aa jaa.e
bas ik 'farāġh' bachā hai junūñ-pasand yahāñ
kaho ki vo bhī mire qāfile meñ aa jaa.e