Faragh Rohvi

kabhi na socha tha maine uDan bharte hue

Faragh Rohvi

Navada Kalan, Bihar, India

1956
kabhī na sochā thā maiñ ne uḌaan bharte hue
ki ranj hogā zamīñ par mujhe utarte hue
ye shauq-e-ġhota-zanī to nayā nahīñ phir bhī
utar rahā huuñ maiñ gahrā.iyoñ meñ Darte hue
havā ke rahm-o-karam par charāġh rahne do
ki Dar rahā huuñ na.e tajrabāt karte hue
na jaane kaisā samundar hai ishq kā jis meñ
kisī ko dekhā nahīñ Duub ke ubharte hue
maiñ us gharāne kā chashm o charāġh huuñ jis kī
hayāt guzrī hai ḳhvāboñ meñ rañg bharte hue
maiñ sab se miltā rahā hañs ke is tarah ki mujhe
kisī ne dekhā nahīñ TūTte bikharte hue
'farāġh' aise bhī insān maiñ ne dekhe haiñ
jo sach kī raah meñ paa.e ga.e haiñ marte hue
Top Urdushayar.com