navāh-e-jāñ meñ kisī ke utarnā chāhā thā
ye jurm maiñ ne bas ik baar karnā chāhā thā
jo but banā.ūñgā terā to haath hoñge qalam
ye jānte hue jurmāna bharnā chāhā thā
baġhair us ke bhī ab dekhiye maiñ zinda huuñ
vo jis ke saath kabhī maiñ ne marnā chāhā thā
shab-e-firāq ajal kī thī aarzū mujh ko
ye roz roz to maiñ ne na marnā chāhā thā
kashīd itr kiyā jā rahā hai ab mujh se
ki mushk ban ke fazā meñ bikharnā chāhā thā
us ek baat pe nārāz haiñ sabhī sūraj
ki maiñ ne un sā ufuq par ubharnā chāhā thā
lagā rahā hai jo sharteñ mirī uḌānoñ par
mire paroñ ko usī ne katarnā chāhā thā
usī taraf hai zamāna bhī aaj mahv-e-safar
'farāġh' maiñ ne jidhar se guzarnā chāhā thā