jis din se koī ḳhvāhish-e-duniyā nahīñ rakhtā
maiñ dil meñ kisī baat kā khaTkā nahīñ rakhtā
mujh meñ hai yahī aib ki auroñ kī tarah maiñ
chehre pe kabhī dūsrā chehrā nahīñ rakhtā
kyuuñ qatl mujhe kar ke Dubote ho nadī meñ
do din bhī kisī laash ko dariyā nahīñ rakhtā
kyuuñ mujh ko lahū dene pe tum log ba-zid ho
maiñ sar pe kisī shaḳhs kā qarzā nahīñ rakhtā
ahbāb to ahbāb haiñ dushman ke ta.iiñ bhī
kam-zarf zamāne kā ravayya nahīñ rakhtā
ye sach hai ki maiñ ġhālib-e-sānī nahīñ lekin
yārān-e-muāsir kā bhī lahja nahīñ rakhtā
bādal to 'farāġh' asl meñ hotā hai vo bādal
jo pyaas ke sahrā ko bhī pyāsā nahīñ rakhtā