Faragh Rohvi

jo bhi anjam ho aaghaz kiye dete hain

Faragh Rohvi

Navada Kalan, Bihar, India

1956
jo bhī anjām ho āġhāz kiye dete haiñ
mausamoñ ko nazar-andāz kiye dete haiñ
kuchh to pahle se thā rag rag meñ shujā.at kā surūr
kuchh hameñ aap bhī jāñ-bāz kiye dete haiñ
had se aage jo parinde nahīñ uḌne vaale
hādse un ko bhī shahbāz kiye dete haiñ
dasht o sahrā ye samundar ye jazīre ye pahāḌ
munkashif ham pe ka.ī raaz kiye dete haiñ
shab-e-zulmat na ho ġhamgīñ ki jalā kar ḳhud ko
nuur se tujh ko sar-afrāz kiye dete haiñ
shahr-e-jāñ par ka.ī barsoñ se musallat hai jumūd
chheḌ kar dil ko chalo saaz kiye dete haiñ
ham ki zinda haiñ abhī zulf-e-ġhazal aa tujh ko
phir atā nik.hat-e-shīrāz kiye dete haiñ
kaun aatā hai ayādat ke liye dekheñ 'farāġh'
apne jī ko zarā nā-sāz kiye dete haiñ
Top Urdushayar.com