Faragh Rohvi

kabhi harif kabhi ham-nawa hamin Thahre

Faragh Rohvi

Navada Kalan, Bihar, India

1956
kabhī harīf kabhī ham-navā hamīñ Thahre
ki dushmanoñ ke bhī mushkil-kushā hamīñ Thahre
kisī ne raah kā patthar hamīñ ko Thahrāyā
ye aur baat ki phir ā.īna hamīñ Thahre
jo āzmāyā gayā shahr ke faqīroñ ko
to jāñ-nisār-e-tarīq-e-anā hamīñ Thahre
hamīñ ḳhudā ke sipāhī hamīñ muhājir bhī
the haq-shanās to phir rahnumā hamīñ Thahre
diloñ pe qaul-o-amal ke vo naqsh chhoḌe haiñ
ki peshvāoñ ke bhī peshvā hamīñ Thahre
'farāġh' ran meñ kabhī ham ne muñh nahīñ moḌā
maqām-e-ishq se bhī āshnā hamīñ Thahre
Top Urdushayar.com