marnā taqdīr hai zanjīr bajā lo pahle
kuchh ho sayyād se āñkheñ to milā lo pahle
abr tum khul ke barasnā sar-e-gulzār-e-hayāt
dushman-e-gul pe zarā barq girā lo pahle
daar kī samt ravāñ ho magar ai dīvāno
ik jahāñ dād-gar apnā to banā lo pahle
ishq kā zahr jo ghul jaa.e to pī lo be-ġham
jām-e-mai aur zarā tez milā lo pahle
arsh-e-taqdīs ko jaate hue ai ādam-e-nau
kahkashāñ gard hai raste se haTā lo pahle
tum ne sun rakkhā hai āzādī-e-'jāved' kā naam
marg kī aañkh se āñkheñ to milā lo pahle