Salman Ansari

mai-kashi chhoD di tauhin-e-hunar kar aaya

Salman Ansari

1957
mai-kashī chhoḌ dī tauhīn-e-hunar kar aayā
jaam ulTā.e subū zer-o-zabar kar aayā
jab vo dīvār girī thī to ye dar kyuuñ rahtā
bas yahī soch ke mismār vo ghar kar aayā
dasht-e-imkān meñ tanhā maiñ kahāñ tak jaatā
jab gumāñ bhī na rahā tark safar kar aayā
ek ummīd kā aalam hai ki thaktā hī nahīñ
bār-e-ehsān se bhī sarf-e-nazar kar aayā
raah dushvār thī aur is ke taġhāful kā yaqīñ
shukr-e-altāf ki ye ma.arka sar kar aayā
vahshat-e-zīst mubārak tirī sābit-qadamī
daaġh bhartā rahā qatre ko guhar kar aayā
nāvak-e-nāz tirī ḳhair ki ishq-e-ḳhush-nūd
ḳhud-numā.ī ke liye ḳhūn-e-jigar kar aayā
mujh se behtar to mirā ḳhvāb thā jhūTā hī sahī
tire pahlū meñ jo ik raat basar kar aayā
ham samajhte the jise hamdam-o-hamrāz apnā
vo hī 'salmān' harīfoñ ko ḳhabar kar aayā
Top Urdushayar.com