Salman Ansari

sud-o-ziyan ke bab mein haare ghaDi ghaDi

Salman Ansari

1957
sūd-o-ziyāñ ke baab meñ haare ghaḌī ghaḌī
sāñsoñ ke qarz ham ne utāre ghaḌī ghaḌī
chaltī rahī havā-e-muḳhālif tamām raat
girte rahe falak se sitāre ghaḌī ghaḌī
thamtī hai roz gardish-e-sāġhar magar ḳhumār
chaltā hai saath saath hamāre ghaḌī ghaḌī
ab hijr na visāl na saudā tire baġhair
dukhtā hai dil bhī dard ke maare ghaḌī ghaḌī
ai raḳhsh-e-nāz muḌ ke zarā dekh to sahī
yādoñ ke dar se kaun pukāre ghaḌī ghaḌī
'salmān' phir chalā hai usī bazm-e-nāz meñ
kam-zarf apne baal sañvāre ghaḌī ghaḌī
Top Urdushayar.com