Salman Ansari

dil ko ujDe hue bite hain zamane kitne

Salman Ansari

1957
dil ko ujḌe hue biite haiñ zamāne kitne
kilk-e-taqdīr ne luuTe haiñ ḳhazāne kitne
bhuul jaatā huuñ magar sach to yahī hai barsoñ
tum se vābasta rahe ḳhvāb suhāne kitne
dil dukhātī hī rahī gardish-e-ayyām magar
ham bhī masrūf rahe ḳhud bhī na jaane kitne
ek ham aur ye dushnām-tarāzī tauba
apne atrāf rahe ā.ina-ḳhāne kitne
ik nazar dekh liyā thā kisī gul kī jānib
nukta-chīnoñ ne tarāshe haiñ fasāne kitne
gar nahīñ vasl to phir bāda-o-sāġhar hī sahī
dil ne DhūñDe haiñ dhaḌakne ke bahāne kitne
umr-e-rafta ko jo āvāz kabhī dī ham ne
khul ga.e zaḳhm ka.ii, baab purāne kitne
ġhamza-o-ramz meñ 'salmān' tafāvut rakhte
aur ā.eñge tumheñ naaz dikhāne kitne
Top Urdushayar.com