Saqib Lakhnavi

bas ai falak nashat-e-dil ka intiqam ho chuka

Saqib Lakhnavi

Agra, Uttar pradesh, India

1869-1946
bas ai falak nashāt-e-dil kā intiqām ho chukā
hañsā thā jis qadar kabhī ziyāda us se ro chukā
na zikr-e-imbisāt kar ki daur-e-aish ho chukā
ḳhushī kī fikr kis liye vo dil kahāñ jo kho chukā
ye ḳhanda-e-tarab-numā mubārak ahl-e-dahr ko
bahut zamāna ho gayā ki maiñ hañsī ko ro chukā
vafā jo zindagī meñ thī vahī hai bād-e-marg bhī
ye imtihān rah gayā vo imtihān ho chukā
na dam le ai sarishk-e-ġham tujhe qasam hai ishq kī
falak ko chhoḌtā hai kyuuñ agar mujhe Dubo chukā
rahe vo dil meñ muddatoñ magar sambhal sakā na maiñ
mizāj-e-husn-o-ishq ko bahut dinoñ samo chukā
ye āshiyāna-e-sitam chaman meñ ho to ḳhuub hai
ye jī meñ hai ki le uḌuuñ qafas tū merā ho chukā
ḳhabar nahīñ ye jāgnā hai ziist tak ki baad bhī
jo saath dil rahā yahī to maiñ lahad meñ so chukā
nikal ke rāh-e-ishq se kisī taraf chalūñ to kyā
kahāñ se lā.ūñ jaan o dil ye de chukā vo kho chukā
ye tū nahīñ ki vāda-e-vafā ko rauñdtā phire
ye maiñ huuñ sarfarosh-e-dil jo kah diyā vo ho chukā
ye 'sāqib' ek silk hai ḳhazāna-hā-e-rāz kī
guhar vo shāhvār haiñ jinheñ maiñ yuuñ piro chukā
Top Urdushayar.com