Saqib Kanpuri

na kar to ai dil majbur aah-e-zer-e-labi

Saqib Kanpuri

Kanpur, Uttar pradesh, India

1900-1985
na kar to ai dil majbūr āh-e-zer-e-labī
na TuuT jaa.e kahīñ ye sukūt-e-nīm-shabī
ye kāvish-e-ġham-e-pinhāñ hai ishq kā hāsil
ravā nahīñ tirī furqat meñ ārzū-talabī
ḳhudā kare yahīñ ruk jaa.e gardish-e-daurāñ
hai rāzdār-e-mohabbat sukūt-e-nīm-shabī
kahāñ huā hai tū shikva-guzār-e-mahrūmī
jahāñ hai saañs bhī lenā kamāl-e-be-adabī
numūd-e-husn hai goyā sarāb kā aalam
ye kā.enāt hai hañgāma haa.e bulajabī
dikhā rahā huuñ nasheb-o-farāz aalam ke
magar ye dil hai ki hai mahv-e-intihā-talabī
mujhe bhī faḳhr hai is silsile meñ ai 'sāqib'
ḳhudā kā shukr ki huuñ hāshmī-o-muttalabī
Top Urdushayar.com