maiñ masrūr huuñ us se mahjūr ho kar
ki mujh se milā vo bahut duur ho kar
tirī shān-e-jiddat-pasandī ke qurbāñ
ki muḳhtār Thahrā maiñ majbūr ho kar
vo shakleñ jo dil meñ kabhī jalva-gar thiiñ
nazar aa.eñ barq sar-e-tūr ho kar
uThā Daale saare hijābāt maiñ ne
sharāb-e-mohabbat se maḳhmūr ho kar
umīdoñ kī duniyā na ho jaa.e vīrāñ
fareb-e-tajassus na de duur ho kar
jo milnā na 'sāqib' se tum chāhte the
to kyuuñ us ko āvāz dī duur ho kar