Hajra Noor Zaryab

zindagi ke liye itna bhi kya hairan hona

Hajra Noor Zaryab

Akola, Maharashtra, India

1978
zindagī ke liye itnā bhī kyā hairāñ honā
mujh ko aatā nahīñ be-vaj.h pareshāñ honā
māñgnā jo bhī ho māñgūñgī maiñ apne rab se
maañg kar bande se aayā na pashemāñ honā
yuuñ to guftār meñ māhir haiñ bahut se lekin
itnā āsāñ nahīñ sachchā.ī pe qurbāñ honā
mujh se ulfat hai to bas mere hī ban kar rahnā
bhuul kar bhī na kabhī ġhair ke mehmāñ honā
har ghaḌī tīrgī rahtī hai musallat mujh par
maiñ ne dekhā hī nahīñ dil kā daraḳhshāñ honā
daur-e-hāzir ko lagī kis kī nazar-bad 'zaryāb'
aadmī ko bhī mayassar nahīñ insāñ honā
Top Urdushayar.com