hayāt apnī sañvārūñ khulī kitāb karūñ
irāda ye hai tujhe sāhab-e-nisāb karūñ
tamām umr isī aarzū meñ guzrī hai
tire mizāj ko parkhūñ koī ḳhitāb karūñ
rahūñ zamīñ par azā.em haiñ āsmānoñ ke
maiñ chāhtī huuñ charāġhoñ ko māhtāb karūñ
tū apne aap ko ā.īna sā banā pahle
vagarna kaise bhalā ḳhud ko be-hijāb karūñ
alag ye baat ki 'zaryāb' huuñ savāloñ meñ
agar maiñ zid pe utar jā.ūñ lā-javāb karūñ