Hajra Noor Zaryab

yarab diya hai husn to ye bhi kamal de

Hajra Noor Zaryab

Akola, Maharashtra, India

1978
yārab diyā hai husn to ye bhī kamāl de
maiñ hañs paḌūñ to phuul bhī ḳhushbū uchhāl de
andāz merī pyaas kā jānegā koī kyā
chāhūñ to ik pahāḌ bhī chashma nikāl de
hastī to nīstī meñ badal jā.egī magar
īmān mujh ko mere ḳhudā lā-zavāl de
shāyad vo mere fan ko samajhne lagā hai ab
varna vo aisā kab thā ki aañsū nikāl de
kaisā ajiib dost hai jab bhī milūñ use
mere hī sāmne mujhe merī misāl de
maiñ māñgtī huuñ tujh se duā ai mire ḳhudā
jab bhī qalam uThā.ūñ anokhā ḳhayāl de
'zaryāb' to bashar hai magar bas karam kī baat
rag rag meñ tū hī thoḌā sā jāh-o-jalāl de
Top Urdushayar.com