tirī chāhat kī aadī ho ga.ī huuñ
hathelī tū maiñ mehñdī ho ga.ī huuñ
kisī ke vāste taaza ġhazal huuñ
tirī ḳhātir kahānī ho ga.ī huuñ
duāoñ meñ mujhe vo māñgtā hai
idhar maiñ bhī namāzī ho ga.ī huuñ
mujhe qismat pe apnī hai bharosa
milā jo us pe raazī ho ga.ī huuñ
sunā jo zauq paḌhne kā hai us ko
maiñ sar-tā-pā kitābī ho ga.ī huuñ
mire dariyā huī jab zam maiñ tujh meñ
samundar se bhī gahrī ho ga.ī huuñ
sitāroñ se kiyā jab istifāda
usī din se shahābī ho ga.ī huuñ
tirī nazroñ ne dekhā mujh ko jis dam
hayā se maiñ gulābī ho ga.ī huuñ
bichhaḌ kar tujh se ai 'zaryāb' ab to
maiñ har jazbe se aarī ho ga.ī huuñ