Hajra Noor Zaryab

sambhaale abr-e-karam tu sambhal bhi sakti hai

Hajra Noor Zaryab

Akola, Maharashtra, India

1978
sambhāle abr-e-karam tū sambhal bhī saktī hai
ye dil kī shāḳh abhī phūl-phal bhī saktī hai
bujhāo maġhribī ātish kī baḌh ke chiñgārī
ki is se mashriqī tahzīb jal bhī saktī hai
uruuj zarf kī had se nikal na jaa.e kahīñ
ye shai farāz pe jā kar phisal bhī saktī hai
ham aaj zor mohabbat kā āzmā.eñge
sunā hai ruḳh ye havā kā badal bhī saktī hai
ye sard sard havā.eñ ye chāñdnī ye firāq
tire liye ye tabī.at machal bhī saktī hai
kisī pe marne se pahle mujhe na thā ma.alūm
ki aise jiine kī hasrat nikal bhī saktī hai
qadam qadam pe ujāloñ kā ehtimām karo
ki chalte chalte kahīñ shaam Dhal bhī saktī hai
kamāl-e-zabt ko mere mirā ḳhudā rakkhe
ye muflisī mire TukḌoñ pe pal bhī saktī hai
ḳhulūs-e-mehr-o-vafā pyaar aur mohabbat se
badal ke dekhiye duniyā badal bhī saktī hai
harī-bharī sī rutoñ meñ ye Dhal bhī saktī hai
ḳhizāñ kī zard sī rañgat badal bhī saktī hai
adab kī shaan banūñ aarzū ye hai 'zaryāb'
magar ye kyā mirī hasrat nikal bhī saktī hai
Top Urdushayar.com