Hajra Noor Zaryab

kuchh bhi nahin hai kya pas-e-diwar dekhna

Hajra Noor Zaryab

Akola, Maharashtra, India

1978
kuchh bhī nahīñ hai kyā pas-e-dīvār dekhnā
saa.e ko Dūbte hue har baar dekhnā
aurat huuñ merī maañ ne sikhāyā ki umr bhar
ā.īna ban ke ā.ina-bardār dekhnā
ye soch kar hī maiñ ne jalāyā nahīñ charāġh
kyā raushnī ko barsar-e-paikār dekhnā
maiñ to charāġh-e-shab thī chalo bujh ga.ī magar
tum to sahar ke ḳhair se āsār dekhnā
jab e'tibār-e-dīda-e-dil uTh gayā to phir
kyā rah gayā hai yār-e-tarah-dār dekhnā
'zaryāb' kyā ḳharīdne niklī ho dhuup meñ
kyā garmiyoñ meñ garmī-e-bāzār dekhnā
Top Urdushayar.com