uTThe kahīñ se dard-e-jigar tum ko is se kyā
lete nahīñ ho merī ḳhabar tum ko is se kyā
do hī qadam chalī thī paḌe chhāle paañv meñ
ġham se hai chuur zauq-e-safar tum ko is se kyā
hālāt ne hañsī mire hoñToñ se chhīn lī
rotī huuñ ab maiñ shām-o-sahar tum ko is se kyā
kāġhaz kā phuul chhū luuñ to vo bhī mahak uThe
dekho na tum jo dast-e-hunar tum ko is se kyā
dekho na mujh ko hañs ke zamāna ḳharāb hai
rusvā.ī kā hai mujh ko bhī Dar tum ko is se kyā
manzil pukārtī hai chale aao jald tum
hai ūñchī nīchī tirchhī Dagar tum ko is se kyā
'zaryāb' se ye tum ne kahā chāhtā huuñ maiñ
patthar sī ho ga.ī hai nazar tum ko is se kyā