muddatoñ se udaas baiThī huuñ
le ke tasvīr-e-yās baiThī huuñ
tishnagī kā gila karūñ kis se
jab maiñ dariyā ke paas baiThī
jis pe tahzīb ke sitāre haiñ
maiñ vo pahne libās baiThī huuñ
bint-e-havvā pe har taraf ḳhatra
mahv-e-ḳhauf-o-hirās baiThī huuñ
sūkhe hoñToñ ko dekhte kyā ho
le ke sadiyoñ kī pyaas baiThī huuñ
jaan jaa.e yā ye rahe 'zaryāb'
haq hai ki haq-shanās baiThī huuñ