zikr us raat se hai vābasta
jo tirī zaat se hai vābasta
jiit merī faqat mirī to nahīñ
ye tirī maat se hai vābasta
aañkh se le ke dil talak kā safar
inkishāfāt se hai vābasta
koī to hai jo terī āñkhoñ ke
in ishārāt se hai vābasta
mere ash.ār meñ tirā paikar
isti.ārāt se hai vābasta
fikr ab tak tirī kahānī ke
iqtibāsāt se hai vābasta
thiiñ mirī aañkh meñ kabhī kirneñ
ab jo barsāt se hai vābasta
hijr ke moḌ par jamī hai nazar
aur lamhāt se hai vābasta
kis kī aamad hai aaj jo 'zaryāb'
intizāmāt se hai vābasta